Hum mai or tum mai
kab yeh tayy huaa tha???
ki phir milege zindagi k kisi modh par
kab yeh kaha tha ki bin tumhare
na jee sakenge hum...
bahut tarpaye ga yeh hijar ka mousam
yeh sawan aur pat-jhar ka mousam
kab yeh teh huaa tha
ki sar shaam hi
tumhari yaad utar aayegi
is dil k aangan mai
AGAR! yeh sab tay nahi huaa tha toh
milo dur jaane k bad bhi
meri wehshoton meri yaadon meri tanhiyon mai
sirf TUM hi TUM kyun ho?