Zaroori toh nahi ke jeene ke liye koi sahara ho
zaroori toh nahi ke hum jis ke hai woh bhi hamara ho
kuch kashtiyaa dhoob jaaya karti hai
zaroori toh nahi ke har kashti ke liye kinara ho
Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai….
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
Palat kar Aankh Num karna, Mujhe hargiz nahin aata
Gaye lamhon ka gam karna, Mujhe hargiz nahin aata
Mohabbat ho to behad ho, Nafrat ho to be-panaah
Koi bhi kaam kum karna, Mujhe hargiz nahin aata